01 April, 2008

Purani jeans....!!!

Purani jeans aur guitar
Mohalle ki vo chhat
Aur mere yaar
Vo raaton ko jaagna
Subah ghar jaan
Kood ke deewar

Vo cigaretee peena
Gali mein jaake
Wo karna daanton ko
Ghadi ghadi saaf


Pahunchna college hamesha late
Vo kehna sir ka
"Get out from the class!"
Vo bahar jaake hamsha kehna
Yahan ka system
Hi hai kharaab

Vo jaake canteen mein
Table bajaake
Vo gaane gaana
Yaaron ke saath

Bas yaadein Yaadein
Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti Chhoti
Baatein reh jaati hain

Bas yaadein..

Vo papa ka daantna
Vo kehna mummy ka
Chhodein ji aap
Tumhein to bas nazar aata hain
Jahan mein beta
Mera hi kharaab

Vo dil mein sochna
Kar ke kuchh dikha dein
Vo karna planning
Roz nayi yaar

Ladakpan ka vo pehla pyaar
Vo likhna haathon pe
A + R

Vo khidki se jhaankna
Vo likhna letter
Unhein baar baar
Vo dena tofe mein
Sone ki baaliyan
Vo lena doston se
Paise udhaar

Bas yaadein Yaadein
Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti Chhoti
Baatein reh jaati hain
Bas yaadein.......